BISMIL Lyrics – Haider Sukhwinder Singh

Bismil Bismil Lyrics from Haider (2014): It narrates the story of couple in a fairy tale style





  Singer: Sukhwinder Singh
  Lyrics: Gulzar
  Music: Vishal Bhardwaj
 Music Label: Junglee Music
 Featuring: Shahid Kapoor, Tabu, Kay  Kay Menon




Bismil Lyrics

Bismil bismil bulbul-e-bismil (bismi..)
Mat mil mat mil gul se mat mil (mat mil..)
Aye Bismil bismil bulbul-e-bismil
Aye dil-e-bulbul  bulbul-e-bismil
Mushkil-e-dil bhi muskil hoti hai

Dil dhadke dil dil dhadke toh..
Dil dhadke dil dil dhadke toh
Dhadkan-e-dil bhi harqat-e-dil hoti hain
Khushbooein gul mein, ishq bhara hain
Mat mil mat mil gul se mat mil
Aye bulbul-e-bismil
Mat mil mat mil gul se mat mil
Aye bulbul-e-bismil

Ha ha.. hey ha

Ho sunle zamaana samjhataa hoon
Teri kahaani dohrata hoon
Aye dil-e-bulbul bulbul-e-bismil
Aye dil-e-bulbul bulbul-e-bismil
Ik joda tha nar-maada ka
Bholi thi bulbul, nar saada tha
Ik joda tha nar-maada ka
Bholi thi bulbul, nar saada tha
Barf gira karti thi
Jab bhar jaati thi kohsaaron mein
Ik baaz bada badneeyat tha
Haan ik baaz bada badneeya tha
Udta tha, sabza-zaaron mein
Pankhon me uske maaut chhupi thi

Mehfil mehfil dhoondh raha tha
Mehlon ki manzil
Mehfil mehfil dhoondh raha tha
Mehlon ki manzil

Bulbul ke khwabon me jakar
Jehar ke dank laagaye the
Khusboo-e-gul mein zehar bhara
Aur maada ko bhhijwaaye the
Zehar ke dank laagaye the
(bulbul ke khwabo me jaakar)
Mada ko bhijwaaye the
(Zehar se dank lagaaye the)
O o.. Waadi me chidka baarood
jheel me jal bichha dala
Chhuriyon se bechare nar ke
Chhuriyon se bechare nark e
Dono pank kata dale

Arey dil dil dil dil jhoot kahe ye
Jhoot kahe buzdil
Mat mil mat mil gul se mat mil
Aye bulbul-e-bismil
Aye bulbul-e-bismil
Aye bulbul-e-bismil

Zakhmi nark o kaid kiya (kaid kiya, Kaid kiya)
Zanjeeron mein bandhwaya
Aranmula ke shiri pull se
Phir paani me phikwaaya
Jhelum.. Jhelum..
Laal laal hua
Laal laal hua
Laal laal hua lal
Jehlum.. Jehlum..
Laal laal hua
Laal laal hua
Laal laal hua lal

Kashmir ke paani ki taaserein
Khul gayi zanjeerein taqdeerein
Zinda hai who zinda hoga
Mujrim bhi sharminda hoga
Zinda hai who zinda hoga
Mujrim bhi sharminda hoga

Hosh mein aa jaa
Hosh mein aa jaa
Aye bulbul-e-bismil
Aye bulbul-e-bismil
Khushboo-e-Gul me zehar bhara hai
Hosh mein aa ja, hosh mein aa ja
Hosh mein aa ja
Hosh mein aa ja
Aye bulbul-e-bismil

-                            -  Gulzar


Word Meanings: Bismil: wounded, bulbul: Nightingale, Gul: Flower, Kohsaar: Mountanins, Sabza-Zaaron: Desert, Buzdil: Coward, Jehlum: Jhelum River, Taaserein:effects, Taqdeerein: Fate, Mujrim: Culprit


BISMIL Video from Haider Movie (2014)